Wednesday 28 April 2010

ek muddat ke baad teri yaad aayi

ek muddat ke baad aaj phir teri yaad aayi!
ek muddat ke baad aaj phir teri yaad aayi!!
tere min gum to na hai par haan hai thori tanhaai..

lafzon se kaise kare byaan dastaan -e wahshat
aaj bhi hoti hai dil mein ishq se dehshat

waqt katta hai sirf tere aane ki umeed mein
aas hai khuda se ke shayad ho tu ab bhi meri taqdeer mein

mohabbat ke jashn ke baad aati hogi aesi siyaah raat
kash hota humein iskaa ehsaas to shayad na hoti aise baat

ek muddat ke baad aaj phir teri yaad aayi!
ek muddat ke baad aaj phir teri yaad aayi!!
tere bin gum to na hai par haan hai thori tanhaai ...

bas umeed hai khuda se tumhara ghar aabad rahe
humara kya kya hai hum to hamesha se barbaad rahe

ek musafir ki tarah aaye the hum tumhare desh mein
chale jayenge ek maflook ke bhesh mein...

har kisi ki kismat mein nahi hoti hai khudaai
humne to wafa dekar payi hai bewafai

ek muddat ke baad aaj phir teri yaad aayi!
ek muddat ke baad aaj phir teri yaad aayi!!
tere min gum to na hai par haan hai thori tanhaai..

No comments:

Post a Comment